Shahram Sarmadi

badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975

badal jā.egā sab kuchh ye tamāshā bhī nahīñ hogā

nazar aa.egā vo manzar jo sochā bhī nahīñ hogā

har ik lamha kisī shai kamī mahsūs bhī hogī

kahīñ bhī duur tak koī ḳhalā bhī nahīñ hogā

vo āñkheñ bhī nahīñ hoñgī kaheñ jo an-kahī bāteñ

havā meñ sabz āñchal vo lahrā bhī nahīñ hogā

simaT jā.egī duniyā sā.at-e-imroz meñ ik din

shumār-e-zīst meñ dīroz o fardā bhī nahīñ hogā

magar qad roz o shab dekh kar hairān sab hoñge

madār apnā zamīñ ne garche badlā bhī nahīñ hogā

ajab vīrāniyāñ ābād hoñgī qarya-dar-qarya

shajar shāḳhoñ pe chiḌiyoñ baserā bhī nahīñ hogā

Top Urdushayar.com