Shahram Sarmadi

nasib-e-chashm mein likkha hai gar pani nahin hona

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975
nasīb-e-chashm meñ likkhā hai gar paanī nahīñ honā
to kyā ye tai hai ab rañj-e-pashemānī nahīñ honā
sakūñ se jā lagegī dil kī kashtī apne sāhil se
ki is barsāt meñ dariyā ko tūfānī nahīñ honā
sabhī kuchh tai-shuda ma.amūlī jaisā hone vaalā hai
kisī bhī vāqiye ko vaj.h-e-hairānī nahīñ honā
junūñ meñ mumkina had tak rahegā hosh bhī shāmil
mirī jaañ be-zarūrat kār-e-nādānī nahīñ honā
hamīñ un ḳhush-nasīboñ meñ se haiñ, jin ke nasīboñ meñ
ḳhudā ne saaf likkhā hai ''pareshānī nahīñ honā''
Top Urdushayar.com