Shahram Sarmadi

sun rakha tha tajraba lekin ye pahla tha mera

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975
sun rakhā thā tajraba lekin ye pahlā thā mirā
jab kisī ke naam par be-vaj.h dil dhaḌkā mirā
ik uchaTtī sī nazar us par ga.ī aur yuuñ lagā
kho gayā jaise kahīñ harf-e-tamannā sā mirā
ishq meñ maiñ bhī bahut mohtāt thā sab jhuuT hai
aur ye sābit kar gayā kal raat kā ronā mirā
ek harf-e-haq kī tā-nok-e-zabāñ aamad magar
maslahat ḳhāmoshī aur āmannā-saddaqnā mirā
apne mehvar par zamīñ aa.e to lamha bhar sahī
der se ḳhālī paḌā hai ḳhāka-e-duniyā mirā
Top Urdushayar.com