Shahram Sarmadi

main nahin rota hun ab ye aankh roti hai mujhe

Shahram Sarmadi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1975
maiñ nahīñ rotā huuñ ab ye aañkh rotī hai mujhe
rotī hai aur sar se paañv tak bhigotī hai mujhe
bad-duā hai jaane kis kī yaad kī jo har ghaḌī
har guzishta lamhe se vahshat sī hotī hai mujhe
mumkina had tak maiñ apnī dastaras meñ huuñ magar
pichhle kuchh din se koī shai mujh meñ khotī hai mujhe
mutma.in thā din ke bikhrāv se maiñ lekin ye raat
dāna-dāna phir ajab Dhab se pirotī hai mujhe
maiñ bahut mashshāq ik tairāk thā lekin vo aañkh
dekh ab ma.a-kashtī-e-jāñ ke Dubotī hai mujhe
Top Urdushayar.com