bas salīqe se zarā barbād honā hai tumheñ
is ḳharābe meñ agar ābād honā hai tumheñ
āshnā tahzīb-e-ḳhāmoshī se honā shart hai
dosto gar vāqa.ī fariyād honā hai tumheñ
vasl kī saa.at tumhāre qurb se mujh par khulā
ik na ik din hijr kī mī.ād honā hai tumheñ
ishq karte vaqt mere zehn meñ hargiz na thā
shā.erī meñ is tarah ījād honā hai tumheñ
maiñ ḳhudā ke faisle se ḳhush huuñ ye bhī lutf hai
merī nā-ta.amīr kī buniyād honā hai tumheñ