hamāre zehn meñ ye baat bhī nahīñ aa.ī
ki terī yaad hameñ raat bhī nahīñ aa.ī
bichhaḌte vaqt jo garje vo kaise bādal the
ye kaisā hijr ki barsāt bhī nahīñ aa.ī
tujhe na pā sake ham is kā ik sabab ye hai
palaT ke gardish-e-hālāt bhī nahīñ aa.ī
huā yuuñ haath se baazī nikal ga.ī ik roz
hamāre hisse meñ phir maat bhī nahīñ aa.ī
ulajh ke rah ga.e kyā ham bhī kār-e-duniyā meñ
ki naubat-e-safar-e-zāt bhī nahīñ aa.ī