Saqib Kaif

zamane ki nazar se dekhta hun main kahan hun

Saqib Kaif

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1971
zamāne kī nazar se dekhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
ye tanhā.ī meñ aksar sochtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
kahā us ne mujhe us ko mohabbat hai kisī se
maiñ apne aap se ye pūchhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
vo mujh se ruuTh kar phir ho gayā nazroñ se ojhal
maiñ us lamhe se ab tak DhūñDhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
ye vo gaañv hai yā phir shahr dar aayā hai is meñ
maiñ har ik shaḳhs se ye pūchhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
musāfir hai yahāñ saare ye duniyā ik safar hai
yahāñ ruknā hai kitnā jāntā huuñ maiñ kahāñ huuñ
Top Urdushayar.com