Sabeela Inam Siddiqui

kis ko batate kis se chhupate suragh-e-dil

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

kis ko batāte kis se chhupāte surāġh-e-dil
chup saadh lī hai zaḳhm dikhāyā na dāġh-e-dil
kaise kareñ bayān ġham-e-jāñ kī dāstāñ
ai kaash gul khilā.e hamārā ye bāġh-e-dil
guzre hamārī ziist ke ayyām is tarah
labrez āñsuoñ se hai goyā ayāġh-e-dil
jab raakh ban ga.e to kahā ye harīf ne
jal jal ke vo jalāte rahe haiñ charāġh-e-dil
jis se mile tavīl zamāna guzar gayā
shāyad usī ke zehn meñ ho kuchh surāġh-e-dil
chāhat kī ab to koī bhī hasrat nahīñ rahī
sarsabz us kī yaad se phir bhī hai bāġh-e-dil
rakhtī nahīñ 'sabīla' kabhī aib par nazar
masrūf pyaar meñ rahā is kā farāġh-e-dil
Top Urdushayar.com