bigaḌne vaalā kisī din sañvar hī jā.egā
mizāj-e-dost bil-āḳhir sudhar hī jā.egā
marīz-e-ishq abhī bekalī meñ hai lekin
buḳhār ek din us kā utar hī jā.egā
jo phuul aaj sar-e-shāḳh hai mahaktā huā
vo ek mauj-e-sabā meñ bikhar hī jā.egā
guzar rahī hai pareshān zindagī lekin
chale chalo ki ye rasta guzar hī jā.egā
isī ḳhayāl se nekī zarūr kartī huuñ
ki buuñd buuñd se tālāb bhar hī jā.egā
jo gir ke raah meñ uThne kā azm rakhtā hai
vo paar aag kā dariyā bhī kar hī jā.egā
ye soch kar hī ravābit meñ ijz bhī rakhnā
hai jis kī ḳhaak jahāñ kī udhar hī jā.egā
'sabīla' ḳhvāb meñ vo sair ko agar nikle
uḌan-khaTole pe pariyoñ ke ghar hī jā.egā