Sabeela Inam Siddiqui

wafa ke raaz se parda nahin uThaungi

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

vafā ke raaz se parda nahīñ uThā.ūñgī
maiñ dil ke zaḳhm tah-e-dil se hī chhupā.ūñgī
agar tumhārī nigāhoñ meñ ye khaTaktā hai
suno maiñ aaj se kājal nahīñ lagā.uñgī
udaas dil ho to gulshan bhī aah bhartā hai
ye sach hai rote hue dil se muskurā.ūñgī
jo mujh pe guzrī hai ashkoñ se vo ibārat hai
jo naqsh dil meñ hai kaise use miTā.ūñgī
har ek baat ko sun kar jo an-sunī kar de
use maiñ dard kī rūdād kyā sunā.ūñgī
kabhī to aa.e vo ai zindagī mirā ban kar
qasam ḳhudā kī maiñ rāhoñ ko bhī sajā.ūñgī
jo mere dil kī sadā hī na sun sakā to phir
use maiñ nauha-e-dil kis tarah sunā.ūñgī
tumhārā saath muqaddar meñ gar nahīñ hai likhā
to yaad ban ke maiñ dil meñ kahīñ samā.ūñgī
jo ḳhvāb dekhe haiñ dil un se kyuuñ ulajhtā hai
maiñ ab ye falsafa shāyad samajh na pā.ūñgī
vo jab mile to ye us se zarūr kah denā
vo is baras bhī na aayā to mar hī jā.ūñgī
yaqīñ hai rab pe 'sabīla' vo merī sun legā
maiñ ho ke bā-vazū hāthoñ ko jab uThā.ūñgī
Top Urdushayar.com