Sabeela Inam Siddiqui

hai tarjuman alam aur adib hai sardi

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

hai tarjumān alam aur adiib hai sardī
tabhī to nok-e-qalam se qarīb hai sardī
dimāġh arsh pe hai kāñptā zamīn pe hai
ai bande dars le umda ḳhatīb hai sardī
maiñ shaal oḌh ke jo baam par Tahaltī huuñ
payām-e-dost kī shāyad naqīb hai sardī
laraztī kāñptī maiñ ḳhud se kahtī rahtī huuñ
maiñ milne jā.ūñ to kaise raqīb hai sardī
havā bhī sard hai patjhaḌ bhī hai daraḳhtoñ par
firāq-o-hijr meñ lipTī ajiib hai sardī
basī huī hai fazā meñ vo farhat-añgezī
sulagte zaḳhmoñ kī behtar tabīb hai sardī
'sabīla' mausam-e-sarmā bhī ek ne.amat hai
vo ḳhush-nasīb haiñ jin ko nasīb hai sardī
Top Urdushayar.com