Sabeela Inam Siddiqui

wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

vo aalam tishnagī kā hai safar āsāñ nahīñ lagtā
ba-zāhir to mujhe bārish kā bhī imkāñ nahīñ lagtā
ye dil jāgīr hai jis kī usī ke naam kar dī hai
jo mere dil ke āñgan meñ mujhe mehmāñ nahīñ lagtā
shu.ūr-o-āgahī kaisī koī vahshī koī sarkash
ye kaisā desh hai jis meñ koī insāñ nahīñ lagtā
na.ī qadreñ na.ī tahzīb kā āġhāz hotā hai
gulistān-e-adab hargiz kabhī vīrāñ nahīñ lagtā
na ho mahfūz māl-o-zar na izzat-ābrū hī jab
to phir zinda kisī kā bhī mujhe īmāñ nahīñ lagtā
kahāñ kā faḳhr kaisā naaz man-ānam ki man-dānam
magar jo rab se paayā hai mujhe arzāñ nahīñ lagtā
ḳhudā rakkhe 'sabīla' har ghaḌī māñ-bāp kā saaya
duā se jin kī tūfāñ bhī mujhe tūfāñ nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com