use betāb ho kar sochtī huuñ
maiñ ik gulfām aksar sochtī huuñ
huī haa.il kuchh aisī bad-gumānī
maiñ ik hiire ko patthar sochtī huuñ
vo ik lamha jo biitā kal hai merā
maiñ har lamha vo manzar sochtī huuñ
huuñ jis kī zaat se vābasta kab se
ab us ko apnā mehvar sochtī huuñ
mirī Dolī jahāñ se saj ke niklī
maiñ bābul kā vahī ghar sochtī huuñ
ye hāv-hū badan ke ghaav par hai
magar maiñ dil ke nashtar sochtī huuñ
tumhārī yaad ke bādal jo aa.e
to ban kar bād-e-sar-sar sochtī huuñ
'sabīla' kyā kahūñ manzil kahāñ hai
ḳhudā vāqif hai jo dar sochtī huuñ