ḳhāmosh huuñ maiñ lab pe shikāyat to nahīñ hai
fariyād karūñ ye mirī aadat to nahīñ hai
jo mauj-e-ġham-o-dard uThī hai mire dil meñ
hañgāma to be-shak hai qayāmat to nahīñ hai
shāyad mujhe mil jaa.e mire dard kā darmāñ
ummīd sahī chain kī hālat to nahīñ hai
fursat meñ mujhe yaad bhī kar lījiye ik din
ye arz mohabbat kī alāmat to nahīñ hai
mil jaa.e sar-e-rāh kisī moḌ pe koī
ik hādsa be-shak hai rifāqat to nahīñ hai
insāf jise haq kā taraf-dār kaheñ sab
is mulk meñ qaa.em vo adālat to nahīñ hai
kyuuñ ghar se nikalte hue Darte haiñ yahāñ log
is shahr meñ qānūn-e-hifāzat to nahīñ hai
allāh razā par tirī raazī hī rahūñgī
ho shikva zabāñ par ye jasārat to nahīñ hai
ābād rahā dil meñ vahī ek 'sabīla'
ab ġhair ko aane kī ijāzat to nahīñ hai