bhīgā huā hai āñchal āñkhoñ meñ bhī namī hai
phailā huā hai kājal āñkhoñ meñ bhī namī hai
barsegā aaj khul kar bechain-o-muztarib huuñ
chhāyā hai ġham kā bādal āñkhoñ meñ bhī namī hai
kaisī ajiib hālat taarī huī hai dil par
huuñ muntazir musalsal āñkhoñ meñ bhī namī hai
muddat ke baad aayā duniyā-e-dil meñ koī
sahrā huā hai jal-thal āñkhoñ meñ bhī namī hai
ye ḳhud-supurdagī kā hai ik ajiib aalam
ḳhvāboñ kā jaise jañgal āñkhoñ meñ bhī namī hai
mahsūs ho rahā hai ik jaal meñ huuñ kab se
ye ishq hai ki daldal āñkhoñ meñ bhī namī hai
ik harf-e-haq ke badle chaḌhte haiñ kitne suulī
shahr-e-vafā hai maqtal āñkhoñ meñ bhī namī hai
ik din suḳhan kī malika ban jāogī 'sabīla'
phir aaj kyuuñ ho be-kal āñkhoñ meñ bhī namī hai