agar alfāz se ġham kā izāla ho gayā hotā
haqīqat to na hotī bas dikhāvā ho gayā hotā
agar apnā samajh kar sirf ik āvāz de jaate
yaqīñ maano ki merā dil tumhārā ho gayā hotā
shab-e-furqat meñ jitne ḳhvāb bhī milne ke dekhe the
agar ta.abīr miltī to ujālā ho gayā hotā
na karte munqata.a gar tum marāsim kī hasīñ rāheñ
to qāsid ḳhat mirā dene ravāna ho gayā hotā
mohabbat kī agar pākīzgī par tum yaqīñ karte
to mil kar tum se puurā sab ḳhasārā ho gayā hotā
mirī āshuftagī par ab zamāne ko ta.ajjub kyuuñ
agar ulfat na hotī dil siyānā ho gayā hotā
dil-e-furqat-zada meñ hai jo ik nāsūr muddat se
muālij gar samajh paatā ifāqa ho gayā hotā
jo dukh kī fasl boī hai to ab dukh kāTnā hogā
mukāfāt-e-amal samjhe ishāra ho gayā hotā
ye hikmat hai 'sabīla' ziist meñ rab ne kamī rakkhī
vagarna har bashar ḳhud meñ ḳhudā sā ho gayā hotā