Sabeela Inam Siddiqui

jahan mein jis ki shohrat ku-ba-ku hai

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

jahāñ meñ jis kī shohrat kū-ba-kū hai
vo mujh se aaj mahv-e-guftugū hai
rahā ābād ḳhvāboñ meñ jo ab tak
ḳhushā qismat ki ab vo rū-ba-rū hai
kabhī vo pyaar se ik phuul laa.e
bahut din se mirī ye aarzū hai
nahīñ aatā ġhazal meñ naam koī
ta.alluq is qadar bā-ābrū hai
mirā ehsās jis se hai mo.attar
vahī ḳhushbū to mere chār-sū hai
sarāpā merā jo hai itnā rañgīñ
ye us kī yaad kā hī rañg-o-bū hai
jahāñ kal tak thā māyūsī kā sahrā
vahāñ ummīd kī ik aabjū hai
vo āvāzeñ jo dil meñ gūñjtī haiñ
mirī anfās kī vo hāv-hū hai
mujhe le jaa.e jo manzil kī jānib
ab aise kārvāñ kī justujū hai
mirā zāhir nazar aatā hai jaisā
mirā bātin bhī vaisā hū-ba-hū hai
'sabīla' soch itnī paak rakkhī
har ik mazmūn merā bā-vazū hai
Top Urdushayar.com