tum dil kī dil meñ rakkho batāyā nahīñ karo
yuuñ kah ke dāstān rulāyā nahīñ karo
mujh se bichhaḌ ke rahtā hai dil-shād ek shaḳhs
ye man-ghaḌat kahānī sunāyā nahīñ karo
āñkhoñ ke gird halqe paḌe jaag jaag kar
nīñdoñ ko merī aise uḌāyā nahīñ karo
merī ġhazal kā tuul tumhāre sabab se hai
tum soch ban ke sher meñ aayā nahīñ karo
taare shumār kartī huuñ shab bhar firāq meñ
tum duur mujh se jaañ mirī jaayā nahīñ karo
mazlūm kī sadā se na aa jaa.e inqalāb
itnā ziyāda zulm bhī Dhāyā nahīñ karo
koshish karo 'sabīla' ke sab tum se ḳhush raheñ
nāhaq kisī ke dil ko dukhāyā nahīñ karo