Parveen Kumar Ashk

ek na ek diwar sarakti rahti hai

Parveen Kumar Ashk

1951
ek na ik dīvār saraktī rahtī hai
ghar kī chhat har rut meñ Tapaktī rahtī hai
jism mirā shahroñ meñ hañstā gaatā hai
ruuh mirī jañgal meñ sisaktī rahtī hai
titlī pyaar kare kāġhaz ke phūloñ se
ḳhushbū sahrāoñ meñ bhaTaktī rahtī hai
bhiiḌ meñ bhī ik chāñd chamaktā rahtā hai
shahr meñ bhī paa.el sī chhanaktī rahtī hai
chāroñ or ke ḳhālī manzar meñ har saañs
aañkh mirī tirī sūrat taktī rahtī hai
jañg laḌe barsoñ guzre lekin ab bhī
sar pe mire talvār chamaktī rahtī hai
barf to duur pahāḌoñ par girtī hai 'ashk'
aag mirī vaadī meñ dahaktī rahtī hai
Top Urdushayar.com