maiñ dariyā huuñ magar donoñ taraf sāhil hai tanhā.ī
talātum-ḳhez maujoñ meñ mirī shāmil hai tanhā.ī
mohabbat ho to tanhā.ī meñ bhī ik kaif hotā hai
tamannāoñ kī naġhma-āfrīñ mahfil hai tanhā.ī
bahut din vaqt kī hañgāma-ārā.ī meñ guzre haiñ
inheñ guzre hue ayyām kā hāsil hai tanhā.ī
hujūm-e-zīst se duurī ne ye māhaul baḳhshā hai
akelī maiñ mirā kamrā hai aur qātil hai tanhā.ī
mire har kaam kī mujh ko vahī tahrīk detī hai
agarche dekhne meñ kis qadar mushkil hai tanhā.ī
usī ne to taḳhayyul ko mire parvāz baḳhshī hai
ḳhudā kā shukr hai jo ab kisī qābil hai tanhā.ī
mohabbat kī shuāoñ se tavānā.ī jo miltī hai
isī rañgīnī-e-mafhūm meñ dāḳhil hai tanhā.ī
ḳhudā hasrat-zada dil kī tamannāoñ se vāqif hai
duā.eñ roz-o-shab kartī huī saa.il hai tanhā.ī
kisī kī yaad hai dil meñ abhī tak anjuman-ārā
'sabīla' kaun samjhegā ki merā dil hai tanhā.ī