Sabeela Inam Siddiqui

jo ba-kirdar ho usko siyani kaun kahta hai

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

jo bā-kirdār ho us ko siyānī kaun kahtā hai
kisī mazdūr kī beTī ko raanī kaun kahtā hai
bajaT jab saare lag jaa.eñ vazārat kī hī kursī par
to is tarz-e-ma.īshat ko girānī kaun kahtā hai
mohabbat ke fasāne aaj bhī tahrīr hote haiñ
bahār-e-zindagānī ko purānī kaun kahtā hai
mirī naanī sunātī thī hikāyat saat pariyoñ kī
vo sachche pyaar kī lorī suhānī kaun kahtā hai
nahīñ miTtā miTāne se kisī se pyaar kā rishta
mohabbat to haqīqat hai kahānī kaun kahtā hai
atā umr-e-ravāñ ne kī hai jo sauġhāt bāloñ ko
utartī chāñdnī ko naujavānī kaun kahtā hai
sabhī ne āp-bītī aur jag-bītī kahī lekin
mire andāz se sachchī kahānī kaun kahtā hai
kuchh aise log hote haiñ jo mar ke bhī nahīñ marte
haiñ jin ke naam zinda un ko faanī kaun kahtā hai
jo mere lab nahīñ kahte mire ash.ār kahte haiñ
jo dil tahrīr kartā hai zabānī kaun kahtā hai
'sabīla' apne ġham ko maiñ chhupā letī to huuñ lekin
girātī haiñ jo āñkheñ un ko paanī kaun kahtā hai
Top Urdushayar.com