Sabeela Inam Siddiqui

idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

idrāk hī muhāl hai ḳhvāb-o-ḳhayāl kā
dil ke varaq pe aks hai us ke jamāl kā
rotī nahīñ huuñ maiñ kabhī duniyā ke sāmne
rakhtī huuñ hausla maiñ nihāyat kamāl kā
haiñ marhale ajiib ye ishq-o-ḳhirad ke bhī
lamhoñ meñ kar rahī huuñ safar māh-o-sāl kā
darvesh hai koī to qalandar valī koī
bandoñ ne paayā ishq meñ rutba kamāl kā
itne sukūñ se maiñ ne kiyā ishq kā safar
aayā nahīñ gumān kisī ehtimāl kā
kaisā ajiib daur hai maujūda daur bhī
mafhūm koī samjhe na dil ke savāl kā
dam ghuT rahā ho jab mirā apne vajūd meñ
kyā ḳhaak tazkira ho firāq-o-visāl kā
kartī nahīñ 'sabīla' gila maiñ ye soch kar
sāthī nahīñ yahāñ koī rañj-o-malāl kā
Top Urdushayar.com