āñkhoñ meñ vo aa.eñ to hañsāte haiñ mujhe ḳhvāb
har roz na.e baaġh dikhāte haiñ mujhe ḳhvāb
ab pyaar ke mausam kā hai āġhāz yaqīnan
naġhmāt na.e ḳhuub sunāte haiñ mujhe ḳhvāb
ho niiñd pe chhāyā huā jab fikr kā bādal
ik sair na.ī samt karāte haiñ mujhe ḳhvāb
us ziist kī talḳhī se to achchhī hai mirī niiñd
titlī kabhī phūloñ se milāte haiñ mujhe ḳhvāb
ik dard kā ehsās jagāne ke liye hī
phūloñ kī tarah ḳhaar ke aate haiñ mujhe ḳhvāb
milte haiñ dukhāne ko mirā dil hī ka.ī log
phir dard ke sahrā meñ sulāte haiñ mujhe ḳhvāb
vo log 'sabīla' ke jo bichhḌe haiñ safar meñ
aksar unhīñ kī yaad dilāte haiñ mujhe ḳhvāb