rakkhe har ik qadam pe jo mushkil kī āgahī
miltī hai us ko raah se manzil kī āgahī
sīkhā hai aadmī ne ka.ī tajraboñ ke ba.ad
tūfān se hī miltī hai sāhil kī āgahī
us kā ḳhudā se rābta hī kuchh ajiib hai
duniyā kahāñ samajhtī hai saa.il kī āgahī
nazroñ kā e.atibār to hai phir bhī merā dil
hai ik sahīfa jis meñ masā.il kī āgahī
din-rāt jis ke pyaar meñ rahtī huuñ be-qarār
us ko nahīñ hai kyuuñ dil-e-bismil kī āgahī
yādoñ ke ik hujūm meñ rah kar patā chalā
tanhā.ī bhī to rakhtī hai mahfil kī āgahī
ḳhanjar kā e.atibār nahīñ vo to saaf hai
lekin milegī ḳhuun se qātil kī āgahī
mashq-e-suḳhan 'sabīla' nikhāregī fan ko aur
matlūb hai kuchh aur abhī dil kī āgahī