chāñd un āñkhoñ ne dekhā aur hai
shahr-e-dil pe jagmagātā aur hai
lams kī vo raushnī bhī bujh ga.ī
jism ke andar añdherā aur hai
ai samundar rāsta denā mujhe
lauh-e-jāñ pe naam likkhā aur hai
vo jo chiḌiyā nāchtī hai shāḳh par
us ke andar ek chiḌiyā aur hai
moḌ par ruk jaa.e ki kachchī saḌak
saath chaltā hai vo rasta aur hai
hijr ke saa.e na tasvīr-e-ḳhizāñ
yaar us ke ghar kā rasta aur hai
tāliyoñ se hall saarā bhar gayā
jāntā huuñ sher sachchā aur hai