ġhubār-e-jāñ se sitārā nikalnā chāhtā hai
ye āsmān bhī karvaT badalnā chāhtā hai
mire lahū kā samundar uchhalnā chāhtā hai
ye chāñd mere badan meñ pighalnā chāhtā hai
siyāh dasht meñ imakān-e-raushnī bhī nahīñ
magar ye haath andhere meñ jalnā chāhtā hai
har ek shāḳh ke hāthoñ meñ phuul mahkeñge
ḳhizāñ kā peḌ bhī kapḌe badalnā chāhtā hai
bahut kaThin hai ki sāñseñ bhī baar lagtī haiñ
mirā vajūd bhī nuqte meñ Dhalnā chāhtā hai