Arsh Malsiyani

kabhi is makan se guzar gaya kabhi us makan se guzar gaya

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
kabhī is makāñ se guzar gayā kabhī us makāñ se guzar gayā
tire āstāñ kī talāsh meñ har āstāñ se guzar gayā
kabhī mehr-o-māh-o-nujūm se kabhī kahkashāñ se guzar gayā
jo tere ḳhayāl meñ chal paḌā vo kahāñ kahāñ se guzar gayā
abhī aadmī hai fazāoñ meñ abhī uḌ rahā hai ḳhalāoñ meñ
ye na jaane pahuñchegā kis jagah agar āsmāñ se guzar gayā
ye mirā kamāl-e-gunah sahī magar is ko dekh mire ḳhudā
mujhe tū ne rokā jahāñ jahāñ maiñ vahāñ vahāñ se guzar gayā
jise log kahte haiñ zindagī vo to hādsoñ kā hujūm hai
vo to kahiye merā hī kaam thā ki maiñ darmiyāñ se guzar gayā
maiñ murād-e-shauq ko pā ke bhī na murād-e-shauq ko pā sakūñ
dar-e-mehrbāñ pe pahuñch ke bhī dar-e-mehrbāñ se guzar gayā
chalo 'arsh' mahfil-e-dost meñ ki payām-e-dost bhī hai yahī
vo jo hādisa thā firāq kā sar-e-dushmanāñ se guzar gayā
Top Urdushayar.com