Arsh Malsiyani

agar taqdir teri bais-e-azar ho jae

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
agar taqdīr terī bā.is-e-āzār ho jaa.e
tujhe lāzim hai us se bar-sar-e-paikār ho jaa.e
mirī kashtī hai maiñ huuñ aur girdāb-e-mohabbat hai
jo tū ho nā-ḳhudā merā to beḌā paar ho jaa.e
kamāl-e-zabt-e-ġham se ye gavārā hī nahīñ mujh ko
ki harf-e-ārzū sharminda-e-iz.hār ho jaa.e
tere ḳhvāb-e-girāñ par ai dil-e-nādāñ ta.ajjub hai
ki tū sotā rahe saarā jahāñ bedār ho jaa.e
unheñ kyuuñ kostā hai jo tujhe kahte haiñ kam-himmat
burā kyā hai haqīqat kā agar iz.hār ho jaa.e
tumheñ ai arsh kyuuñ hai tīr-e-ġham se itnī be-zārī
yahī behtar hai ye nāvak jigar ke paar ho jaa.e
Top Urdushayar.com