dil un kā hai kuchh aur to hai un kī zabāñ aur
kartā huuñ yaqīñ jitnā maiñ baḌhtā hai gumāñ aur
manzil kā junūñ hai to har ik gaam hai manzil
miTtā hai nishāñ aur kā to miltā hai nishāñ aur
parvāne ke mātam meñ bujhī sham.a ye kah kar
tere liye hāzir hai ye thoḌā sā dhuāñ aur
pur-dard jo dil meñ unheñ roko na fuġhāñ se
hote haiñ ye ḳhāmosh to karte haiñ fuġhāñ aur
yārab ye sunā hai vo samajhte nahīñ urdu
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
hotā hai fuzūñ yaas meñ soz-e-ġham-e-ulfat
bujhtā hai to hotā hai ye dil shoa.la-fishāñ aur
apnoñ hī se tum ishq meñ ghabrā ga.e sāhab
is raah meñ haa.il haiñ abhī sañg-e-garāñ aur
duniyā meñ to mamnūa hai jannat meñ hai jaa.ez
kyā baat hai vaa.iz kī yahāñ aur vahāñ aur
hotī hai zabāñ band to kyā kuchh nahīñ kahtī
ruktī hai ye talvār to hotī hai ravāñ aur
asnām-tarāshī bhī baḌī chiiz hai lekin
hai nāzukī-e-kārgah-e-shīsha-garāñ aur
kahne ko to ai 'arsh' suḳhan-sanj haiñ ham bhī
haq ye hai ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur