haiñ aise bad-havās hujūm-e-balā se ham
apnā samajh ke milte haiñ har āshnā se ham
tūfān se ulajh ga.e le kar ḳhudā kā naam
āḳhir najāt pā hī ga.e nāḳhudā se ham
pahlā sā vo junūn-e-mohabbat nahīñ rahā
kuchh kuchh sambhal ga.e haiñ tumhārī duā se ham
yuuñ mutma.in se aa.e haiñ khā kar jigar pe choT
jaise vahāñ ga.e the isī mudda.ā se ham
aane do iltifāt meñ kuchh aur bhī kamī
mānūs ho rahe haiñ tumhārī jafā se ham
ḳhū-e-vafā milī dil-e-dard-āshnā milā
kyā rah gayā hai aur jo nā māñgeñ ḳhudā se ham
aadat sī ho ga.ī hai shikāyāt kī hameñ
bezār to nahīñ haiñ tumhārī jafā se ham
pā-e-talab bhī tez thā manzil bhī thī qarīb
lekin najāt pā na sake rahnumā se ham
duniyā se kuchh lagāo na uqbā kī aarzū
tañg aa ga.e haiñ is dil-e-be-mudda.ā se ham
hote nashāt-e-ishq se bhī faizyāb 'arsh'
majbūr haiñ magar dil-e-ġham-āshnā se ham