Arsh Malsiyani

kisi naghme mein hai wo aur na kisi saz mein hai

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
kisī naġhme meñ hai vo aur na kisī saaz meñ hai
ras-bharī narm sī lai jo tirī āvāz meñ hai
gosh mushtāq kī ḳhud-sāḳhta tafrīq hai ye
varna jo saaz hai bāhar hai vahī saaz meñ hai
le na Duube kahīñ ḳhush-fahmī-e-idrāk tujhe
nā-ḳhudā.ī tirī poshīda isī raaz meñ hai
aap hī zinda kareñ murda tamannāoñ ko
qum-be-iznī kā asar aap kī āvāz meñ hai
ham-safīroñ kī sadāoñ kā asar hai shāyad
har giraftār-e-qafas koshish-e-parvāz meñ hai
kyuuñ kareñ ġhair se ham arz niyāz-e-ulfat
jis ke tālib haiñ abhī jalva-gāh-e-nāz meñ hai
'arsh' tak dekhiye pahuñche ki na pahuñche koī
aah ke saath duā bhī mirī parvāz meñ hai
Top Urdushayar.com