lutf hī lutf hai jo kuchh hai ināyat ke sivā
hai mohabbat se sivā jo hai mohabbat ke sivā
dostoñ ke karam-e-ḳhās se bachne ke liye
koī gosha na milā gosha-e-uzlat ke sivā
mujh se shikva bhī jo karte haiñ to ye kahte haiñ
kuchh bhī aatā hī nahīñ tujh ko shikāyat ke sivā
aap ke ḳhat ko maiñ kis baat kā ġhammāz kahūñ
is meñ sab kuchh hai bas ik harf-e-mohabbat ke sivā
jis qadar chāho gunāhoñ pe hañso ḳhuub hañso
ye ilaaj aur bhī hai ashk-e-nidāmat ke sivā
vo jo kahte haiñ ki hai fahm o firāsat ham se
aise logoñ meñ sabhī kuchh hai firāsat ke sivā
is na.ī baat ko bhī 'arsh' kabhī sochā hai
aaj kal sher meñ jiddat hai to jiddat ke sivā