mujh se itnā na inhirāf karo
jo ḳhatā ho ga.ī muaaf karo
maiñ ḳhatāoñ ko maan letā huuñ
tum mohabbat kā e'tirāf karo
ye kudūrat nahīñ tumheñ zebā
dil ko merī taraf se saaf karo
faisla tum pe ab to chhoḌ diyā
mere haq meñ karo ḳhilāf karo
merī har baat meñ hai majbūrī
merī har baat ko muaaf karo
saaf hai mere dil kā ā.īna
mujh se tum baat saaf saaf karo
kū-e-jānāñ maqām-e-faiz hai 'arsh'
tum isī ka.abe kā tavāf karo