tarab ke maḳhmase ġham ke jhamele
dil-e-nādāñ ne lākhoñ khel khele
ga.e ik ek kar ke ham-safar sab
hamīñ zinda haiñ marne ko akele
ġham-e-daurāñ se utnī baar haare
ġham-e-jānāñ se jitnī baar khele
dil āḳhir taab laatā bhī to kab tak
qayāmat the tamannāoñ ke rele
ye duniyā ḳhatm ho jā.egī āḳhir
na hoñge ḳhatm duniyā ke jhamele
na koī ham-ḳhayāl ai 'arsh' paayā
rahe ham anjuman meñ bhī akele