ba.ad muddat ke ye huā ma.alūm
jo hai ma.alūm vo hai nā-ma.alūm
kis ne kho.e haiñ hosh kyā ma.alūm
kaun kāfir hai ye ḳhudā ma.alūm
ham ko manzil kī hai talāsh bahut
go nahīñ us kā rāstā ma.alūm
dil meñ ik dard kī kasak sī thī
ab huī us kī intihā ma.alūm
justajū-e-hazār ke bā-vasf
kuchh huā kuchh nahīñ huā ma.alūm
rāz-e-kaunain usī pe faash nahīñ
jis ne samjhā ki ho gayā ma.alūm
us ko qudrat ne dī girāñ-goshī
jis ko hai saaz kī sadā ma.alūm
dard se vāsta hai dard se kaam
go hai is dard kī davā ma.alūm
'arsh' vo mujh ko chhoḌte hī nahīñ
ab huī jurm kī sazā ma.alūm