dil-e-fasurda pe sau baar tāzgī aa.ī
magar vo yaad ki jā kar na phir kabhī aa.ī
chaman meñ kaun hai pursān-e-hāl shabnam kā
ġharīb roī to ġhunchoñ ko bhī hañsī aa.ī
ajab na thā ki ġham-e-dil shikast khā jaatā
hazār shukr tire lutf meñ kamī aa.ī
zamāna hañstā hai mujh par hazār baar hañse
tumhārī aañkh meñ lekin ye kyuuñ namī aa.ī
diye jalā.e ummīdoñ ne dil ke gird bahut
kisī taraf se na is ghar meñ raushnī aa.ī
hazār diid pe pābandiyāñ thiiñ parde the
nigāh-e-shauq magar un ko dekh hī aa.ī
kisī tarah na miTā 'arsh' dāġh-e-kufrānā
hamāre kaam na sajde na bandagī aa.ī