ḳhudī kā rāzdāñ ho kar ḳhudī kī dāstāñ ho jā
jahāñ se kyā ġharaz tujh ko tū aap apnā jahāñ ho jā
bayān-e-pā.emālī shikva-e-barq-e-tapāñ ho jā
gulistān-e-jahāñ ke patte patte kī zabāñ ho jā
sharīk-e-kārvāñ hone kī go tāqat nahīñ tujh meñ
magar itnī to himmat kar ki gard-e-kārvāñ ho jā
tazalzul se barī ho terā istiqlāl ulfat meñ
yaqīn par yaqīñ ho jā gumān-e-be-gumāñ ho jā
kisī sūrat to sharh-e-ārzū-e-shauq karnī hai
zabāñ chup hai agar ai dil to aap apnī zabāñ ho jā
zamāne par bharosā kar na rāz-e-ishq kā ai dil
jahāñ tak ho sake tū aap apnā rāz-dāñ ho jā
tujhe dāġhoñ ke lākhoñ māh-o-anjum mil hī jā.eñge
uTh ai dard-e-dil par aah uTh kar āsmāñ ho jā
kabhī to aarzī sā ik tabassum lab pe aane de
kabhī to mehrbāñ mujh par mire nā-mehrbāñ ho jā
tire aane pe ai tīr-e-nigāh-e-nāz maiñ ḳhush huuñ
dil-e-betāb meñ aa kar hisāb-e-dostāñ ho jā
bulandī naam se ai 'arsh' mil saktī nahīñ tujh ko
zamīn-e-sher par auj-e-suḳhan se āsmāñ ho jā