kyā chāra kareñ kyā sabr kareñ jab chain hameñ din-rāt nahīñ
ye apne bas kā rog nahīñ ye apne bas kī baat nahīñ
jo us ne kiyā achchhā hī kiyā jo ham pe huā achchhā hī huā
ab girya-o-ġham kuchh chiiz nahīñ ab nāla-e-ġham kuchh baat nahīñ
ham sabr-o-razā ke bande haiñ jo tum ne kiyā sab jhel liyā
ab dil meñ bhī afsos nahīñ ab lab par bhī haihāt nahīñ
jab ulfat kā dam bhar baiThe jab chaal hī ulTī chal baiThe
nādān ho phir kyuuñ kahte ho is chaal meñ baazī maat nahīñ
kuchh rañj nahīñ kuchh fikr nahīñ duniyā se alag ho baiThe haiñ
dil chain se hai ārām se hai ālām nahīñ āfāt nahīñ
tum lutf ko jaur batāte ho tum nāhaq shor machāte ho
tum jhūTī baat banāte ho ai 'arsh' ye achchhī baat nahīñ