aag hī aag hai gulshan ye koī kyā jaane
kis ne phūñkā hai nasheman ye koī kyā jaane
na kahīñ sozan-o-rishta na kahīñ baḳhiya-garī
sar-ba-sar chaak hai dāman ye koī kyā jaane
dekhte phirte haiñ log ā.īne sayyāroñ ke
dil kā gosha bhī hai darpan ye koī kyā jaane
husn har haal meñ hai husn parāganda naqāb
koī parda hai na chilman ye koī kyā jaane
'arsh' ūñchā thā sar-e-fan kabhī yā faḳhr o ġhurūr
ab tah-e-teġh hai gardan ye koī kyā jaane