bigḌī huī qismat ko badalte nahīñ dekhā
aa jaa.e jo sar par use Talte nahīñ dekhā
kyuuñ log havā bāñdhte haiñ himmat-e-dil kī
ham ne to use gir ke sambhalte nahīñ dekhā
ham jaur bhī sah leñge magar Dar hai to ye hai
zālim ko kabhī phūlte-phalte nahīñ dekhā
ahbāb kī ye shān-e-harīfāna salāmat
dushman ko bhī yuuñ zahr ugalte nahīñ dekhā
ashkoñ meñ sulagtī huī ummīd ko dekho
paanī se agar ghar koī jalte nahīñ dekhā
har-dam mire dil hī ko jalātī raheñ aaheñ
ghar ġhair kā lekin kabhī jalte nahīñ dekhā
vo raah sujhāte haiñ hameñ hazrat-e-rahbar
jis raah pe un ko kabhī chalte nahīñ dekhā
ulfat meñ agar jaan nikal jaa.e to sach hai
dil se magar armān nikalte nahīñ dekhā
kyuuñ chāhne vāloñ se ḳhafā aap haiñ itne
parvānoñ se yuuñ sham.a ko jalte nahīñ dekhā
har ek ilāj-e-dil betāb hai be-sūd
is ko to kisī taur bahalte nahīñ dekhā
ai 'arsh' gunah bhī haiñ tire daad ke qābil
tujh ko kaf-e-afsos bhī malte nahīñ dekhā