Arsh Malsiyani

ye daur-e-KHirad hai daur-e-junun is daur mein jina mushkil hai

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
ye daur-e-ḳhirad hai daur-e-junūñ is daur meñ jiinā mushkil hai
añgūr kī mai ke dhoke meñ zahrāb kā piinā mushkil hai
jab nāḳhun-e-vahshat chalte the roke se kisī ke ruk na sake
ab chāk-e-dil-e-insāniyyat siite haiñ to siinā mushkil hai
ik sabr ke ghūñT se miT jaatī tab tishna-laboñ kī tishna-labī
kam-zarfi-e-duniyā ke sadqe ye ghūñT bhī piinā mushkil hai
vo sho.ala nahīñ jo bujh jaa.e āñdhī ke ek hī jhoñke se
bujhne kā salīqa āsāñ hai jalne kā qarīna mushkil hai
karne ko rafū kar hī leñge duniyā vaale sab zaḳhm apne
jo zaḳhm dil-e-insāñ pe lagā us zaḳhm kā siina mushkil hai
vo mard nahīñ jo Dar jaa.e māhaul ke ḳhūnī manzar se
is haal meñ jiinā lāzim hai jis haal meñ jiinā mushkil hai
milne ko milegā bil-āḳhir ai 'arsh' sukūn-e-sāhil bhī
tūfān-e-havādis se lekin bach jaa.e safīna mushkil hai
Top Urdushayar.com