mohabbat vo maraz hai jis kā chāra ho nahīñ saktā
jigar kā ho ki dil kā zaḳhm achchhā ho nahīñ saktā
vo naala koī naala hai jo kam ho mauj-e-tūfāñ se
vo aañsū koī aañsū hai jo dariyā ho nahīñ saktā
tamāshā hai ki ham us ko masīhā dam samajhte haiñ
hamāre dard kā jis se mudāvā ho nahīñ saktā
mujhe fariyād par maa.il na kar ai josh-e-nākāmī
zamāne-bhar meñ dil kā raaz rusvā ho nahīñ saktā
ajab kyā hai jo ḳhāmoshī hī sharh-e-ārzū kar de
mire lab se to iz.hār-e-tamannā ho nahīñ saktā
mubārak ho tujhī ko ye ḳhayālistān ai vaa.iz
tirī duniyā meñ rindoñ kā guzāra ho nahīñ saktā
tamāshā ho gayā hai tere jalvoñ kā tamāshā.ī
koī is shaan se mahv-e-tamāshā ho nahīñ saktā
badal sakte ho tum bigḌī huī qismat zamāne kī
tumhārī ik nigāh-e-nāz se kyā ho nahīñ saktā