vo vafā-o-mehr kī dāstāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
kabhī tū bhī thā mirā mehrbāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
tire lutf-e-ḳhās ne jo diyā tirī yaad ne jo atā kiyā
ġham-e-mustaqil ġham-e-jāvedāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo jo shor-e-lutf-e-suḳhan rahā vo jo zor-e-lutf-e-bayāñ rahā
mire ham-suḳhan mire ham-zabāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
jo tire liye mire dil meñ thā jo mire liye tire dil meñ thā
mujhe yaad hai vo ġham-e-nihāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
tirī dostī pe mirā yaqīñ mujhe yaad hai mire ham-nashīñ
mirī dostī pe tirā gumāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo karam-shi.ārī-e-dushmanāñ vo sitam-tarāzī-e-dostāñ
mire nukta-ras mire nukta-dāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo jo shāḳh-e-gul pe thā āshiyāñ jo thā vaj.h-e-nāzish-e-gulistāñ
girī jis pe barq-e-sharar-fashāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
mire dil ke jazba-e-garm meñ mire dil ke gosha-e-narm meñ
thā tirā maqām kahāñ kahāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
use māntā huuñ maiñ mehrbāñ haiñ tire rafīq bahut yahāñ
kabhī maiñ bhī thā tirā rāz-dāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho
ye jo 'arsh' shikva-tarāz hai jise harza-goī pe naaz hai
ye vahī hai shā.ir-e-ḳhush-bayāñ tujhe yaad ho ki na yaad ho