Anees Ashfaq

ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain

Anees Ashfaq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1950
rū-e-gul chehra-e-mahtāb nahīñ dekhte haiñ
ham tirī tarah koī ḳhvāb nahīñ dekhte haiñ
sīna-e-mauj pe kashtī ko ravāñ rakhte haiñ
gird apne koī gardāb nahīñ dekhte haiñ
tishnagī meñ bhī vo pāband-e-qanā.at haiñ ki ham
bhuul kar bhī taraf-e-āb nahīñ dekhte haiñ
sar bhī maujūd haiñ shamshīr-e-sitam bhī maujūd
shahr meñ ḳhuun kā sailāb nahīñ dekhte haiñ
aa ga.e haiñ ye mire shahr meñ kis shahr ke log
guftugū meñ adab-ādāb nahīñ dekhte haiñ
aanā jaanā unhīñ galiyoñ meñ abhī tak hai magar
ab vahāñ majma-e-ahbāb nahīñ dekhte haiñ
kis chaman meñ haiñ ki mausam to guloñ kā hai magar
ek bhī shāḳh ko shādāb nahīñ dekhte haiñ
is pe hairāñ haiñ ḳharīdār ki qīmat hai bahut
mere gauhar kī tab-o-tāb nahīñ dekhte haiñ
ho ga.e saare balā-ḳhez samundar pāyāb
ab safīna koī ġharqāb nahīñ dekhte haiñ
Top Urdushayar.com