Arsh Malsiyani

hawa chaman ki bhala hum ko sazgar kahan

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
havā chaman kī bhalā ham ko sāzgār kahāñ
bahār naam ko hai asal meñ bahār kahāñ
jo tum nahīñ the to ik lutf-e-intizār to thā
tum aa ga.e ho to ab lutf-e-intizār kahāñ
chaman se duur bhī dekhī hai fasl-e-gul ham ne
magar vo silsila-e-naġhma-e-bahār kahāñ
numūd-e-sub.h huī aur ujaḌ ga.ī mahfil
mai-e-shabāna kahāñ ab vo mai-gusār kahāñ
chaman ye shahr-e-nigārāñ banā to hai lekin
mirī bahār ko chhoḌ aa.ī hai bahār kahāñ
huī haiñ un se uchaTtī sī kuchh mulāqāteñ
magar ye kaif ba-andāza-e-ḳhumār kahāñ
na siina chaak hai koī na ab garebāñ chaak
gayā na jaane vo sarmāya-e-bahār kahāñ
ba-faiz-e-azmat-e-syāñ milī hai ye tauqīr
vagarna dar-ḳhur-e-rahmat gunāhgār kahāñ
na vo sohbat-e-māzī na us kī yaad ai 'arsh'
jo kārvāñ hī nahīñ hai to phir ġhubār kahāñ
Top Urdushayar.com