Arsh Malsiyani

dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
dil hotā hai taskīn ke aalam meñ hazīñ aur
le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gām kahīñ aur
haañ aur uThā parde ko ai parda-nashīñ aur
mujh sā nahīñ koī tire jalvoñ kā amiiñ aur
jitnī vo mire haal pe karte haiñ jafā.eñ
aatā hai mujhe un kī mohabbat kā yaqīñ aur
mai-ḳhāne kī hai shaan usī shor-e-talab se
haañ aur nahīñ par hai taqāzā ki nahīñ aur
hai hāsil-e-sad-zīst javānī kā ye aalam
ai umr-e-gurezāñ mujhe rahne de yahīñ aur
mujh sā jo nahīñ aur koī chāhne vaalā
tujh sā bhī zamāne meñ nahīñ koī hasīñ aur
kaafī nahīñ mujh ko ye nigāh-e-ġhalat-andāz
haañ aur baḌhā hausla-e-qalb-e-hazīñ aur
takrār kā ai shaiḳh yahī to hai natīja
tum ne jo kahīñ aur to ham se bhī sunīñ aur
ham martaba-e-'arsh' koī un meñ na hogā
hoñge dar-e-jānāñ ke bahut ḳhāk-nashīñ aur
Top Urdushayar.com