Arsh Malsiyani

yaqin-e-mohkam ka hai sahaara yahi amal kargar hai pyare

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
yaqīn-e-mohkam kā hai sahārā yahī amal kārgar hai pyāre
ilāj-e-darj-e-nihāñ yahī hai isī davā meñ asar hai pyāre
tirī nigāhoñ meñ haiñ samā.e jamāl-e-hastī jalāl-e-ma.anī
na dekh tū aur kī nazar se tirī nazar mo'atabar hai pyāre
nahīñ tirī raah rāh-e-mushkil hai rahbar-e-rāh ḳhud tirā dil
tire qadam meñ hai terī manzil tavīl be-shak safar hai pyāre
na hai hasīnoñ meñ kaj-adā.ī na zindagī meñ koī burā.ī
hai nekiyoñ hī kā ghar ḳhudā.ī agar tū ḳhud ḳhud-nigar hai pyāre
tire hī dil meñ hai jalva-farmā butoñ kī sūrat ḳhudā kā jaadū
yahī hai dair aur yahī hai ka.aba yahī mohabbat kā ghar hai pyāre
kahāñ chhupegā vo māh-paikar tū ho na māyūs-e-dīd dam-bhar
hoñ laakh parde ruḳh-e-hasīñ par tirī nazar bhī nazar hai pyāre
haiñ tere ash.ār 'arsh' aise rumūz hoñ zindagī ke jaise
tujhe na deñ log daad kaise baḌā hī tū nukta-var hai pyāre
Top Urdushayar.com