bayāñ hoñ bhī to hoñ āḳhir kahāñ jo dil kī bāteñ haiñ
na tanhā.ī kī bāteñ haiñ na ye mahfil kī bāteñ haiñ
murattab kar liyā yuuñ ham ne afsāna mohabbat kā
kuchh un ke dil kī bāteñ haiñ kuchh apne dil kī bāteñ haiñ
jo un meñ phañs gayā phir raah par vo aa nahīñ saktā
baḌe chakkar kī bāteñ rahbar-e-manzil kī bāteñ haiñ
tumhārā va.az rāz-e-ishq kyā kholegā ai vaa.iz
zabāñ kī ye nahīñ hazrat ye chashm-o-dil kī bāteñ haiñ
vo mahfil se judā bhī ho chuke mahfil ko garmā kar
magar mahfil meñ ab tak garmī-e-mahfil kī bāteñ haiñ
zabāñ se kuchh kaho sāhab magar ma.alūm hai ham ko
tumhāre dil kī sab bāteñ hamāre dil kī bāteñ haiñ
mujhe dars-e-sukūñ dete haiñ vo josh-e-tamannā meñ
udhar tūfāñ kī ḳhvāhish hai idhar sāhil kī bāteñ haiñ
maiñ apne hāl-o-māzī par bhī kuchh ai 'arsh' ro letā
magar pesh-e-nazar is vaqt mustaqbil kī bāteñ haiñ