Arsh Malsiyani

kali pe rang gulon par nikhaar bhi to nahin

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
kalī pe rañg guloñ par nikhār bhī to nahīñ
bahār ḳhaak umīd-e-bahār bhī to nahīñ
kuchh aisī aag lagī hai mire gulistāñ meñ
yahāñ shajar koī be-barg-o-bār bhī to nahīñ
isī fareb meñ rahtā ki paas hai manzil
sitam to ye hai ki rah meñ ġhubār bhī to nahīñ
mujhe zamāne ne baḳhshī hai vo fareb kī mai
nasha to ek taraf hai ḳhumār bhī to nahīñ
samajh meñ aatī nahīñ sard-mehrī-e-duniyā
kisī ke siine meñ ġham kā sharār bhī to nahīñ
qarār dil ke liye DhūñDhtā magar tauba
tire baġhair ye ab be-qarār bhī to nahīñ
nikal to jaao jahān-e-ḳharāb se ai 'arsh'
magar yahāñ koī jā-e-farār bhī to nahīñ
Top Urdushayar.com