Arsh Malsiyani

hasinon ke sitam ko mehrbani kaun kahta hai

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
hasīnoñ ke sitam ko mehrbānī kaun kahtā hai
adāvat ko mohabbat kī nishānī kaun kahtā hai
ye hai ik vāqa.ī tafsīl merī āp-bītī kī
bayān-e-dard-e-dil ko ik kahānī kaun kahtā hai
yahāñ har-dam na.e jalve yahāñ har-dam na.e manzar
ye duniyā hai na.ī is ko purānī kaun kahtā hai
tujhe jis kā nasha har-dam liye phirtā hai jannat meñ
batā ai shaiḳh us kausar ko paanī kaun kahtā hai
tarīqa ye bhī hai ik imtihān-e-jazba-e-dil kā
tumhārī be-ruḳhī ko bad-gumānī kaun kahtā hai
balā hai qahr hai aafat hai fitna hai qayāmat kā
hasīnoñ kī javānī ko javānī kaun kahtā hai
fanā ho kar bhī hāsil hai vahī rañg-e-baqā us kā
hamārī hastī-e-fānī ko faanī kaun kahtā hai
hazāroñ rañj is meñ 'arsh' lākhoñ kulfateñ is meñ
mohabbat ko surūd-e-zindagānī kaun kahtā hai
Top Urdushayar.com